Fakhra Batool
Rukh Hawao Ka Badalta He Gaya
Pyar Jab Dil Main Utarta He Gaya
Jab Saba Kea Kia Inhar-E-Wafa
Phool Chup Chap Bikharta He Gaya
Aag Bujhnay Lagi Jab Senay Ki
To Dhuwaa Aankh Main Bharta He Gaya
Aap Nay Sirf Masehayi Ki
Dard Kyu Had Se Guzarta He Gaya
Jis Nay Bhi Banga Mohabbat Ka Sila
Dil Ko Hatho Se Wo Malta He Gaya
Koi Tofaan To Aaya He Nahi
Sheher-E-Jaan Phir Bhi Ujarta He Gaya
Jis Ne Bhi Ishq Ki Raahoo Ko Chuna
Dasht Abad Wo Karta He Gaya
0 Comments